Waqt ki ret par,taqdeer
Hi to likhti hai,
Hum sab ki kahaani,
Dukh aur sukh ke sangam se,
Sajaati hai,sabki zindgaani,
Kahin phool hain khile,
Kisi ko shool hain mile,
Kisi ke chehre par,dhoop hai khushiyon ki,khili hui
To,kisi ko dekhkar aisa lagta hai,jaise
Har or na-ummeedi hai chhai hui,
Shaks Koi sab ke beech bhi,akela hai
Kisi ne,apne aaspaas lagaya
Khushiyon ka mela hai.
Hi to likhti hai,
Hum sab ki kahaani,
Dukh aur sukh ke sangam se,
Sajaati hai,sabki zindgaani,
Kahin phool hain khile,
Kisi ko shool hain mile,
Kisi ke chehre par,dhoop hai khushiyon ki,khili hui
To,kisi ko dekhkar aisa lagta hai,jaise
Har or na-ummeedi hai chhai hui,
Shaks Koi sab ke beech bhi,akela hai
Kisi ne,apne aaspaas lagaya
Khushiyon ka mela hai.
No comments:
Post a Comment