About Ritu Jain!

New Delhi, India
I am Ritu Jain,48 years and happily married . I live in Delhi. A Housewife who is a Psychology Hons. Graduate and wants to bring cheer and smile to every person who does not have one.Being creative is my lifeline. I am very happy today that I have launched my own Blog, to share my poems,thoughts,experiences and various colors in my life.

Thursday, May 28, 2015

Subah hote hi,
Yaaden tumhaari gungunaane lagti hain,
Chaand angraai leta hai,
Chaandni muskuraane lagti hai,
Pyaar tumhara, khila hai sabke dilon mein, phoolon ki tarah
Maa tum nahin ho ab is duniya mein,
Ye maanana mushkil hai,
Ek karwe satya ki tarah.

Wednesday, May 20, 2015

Kabhi bin baat ke,
Naachne lagta hai Mann,
Kabhi ye bewajah,
Ho jaata hai udhaas,
Kabhi dhoondhta hai,
Apno ko,apnon ke beech rahkar bhi,
Kabhi anjaane,begaane log bhi,
Door kar deten hai,uske pyaar ki pyaas,
Kitna kathin hai,samajhna Mann ko,
Aur vush mein karna uski chanchalta ko.
गीत गाने लगता है ,
तुम्हे याद करके,मन मेरा,
मुस्कुराने लगता है,
हर पल,हर लम्हा,
जब याद आता है,तुम्हारा चेहरा,
 बिन कहे,न जाने क्या-क्या,
कहती थी,आँखे तुम्हारी,
बड़ी भोली और मासूम है,
हंसी  तुम्हारी,
भगवान करे,खूब लंबी हो,
उम्र तुम्हारी |

Saturday, May 16, 2015

क्या है,ये जीवन
बुलबुला पानी का,
या हवा का एक झोंका,
एक आग का दरिया,
या सैलाब आँसूओं का,
लहर एक चंचल सी,
या आह एक बोझिल मन की,
ओस की बूँद,या
दर्द किसी मजबूर का,
खुशियों का बहता झरना,
या ख्वाहिश किसी के,अतृप्त मन की,
क्या है,ये जीवन.....
The purpose of life is to be the best,and not better than others.

Wednesday, May 13, 2015

Baadalon ne machaaya shor,
Varsha ki boonden,
Naachne lagi har or,
Patta-patta jhoomne laga,
Kali-kali khilne lagi,
Baharon mein aa gaya naya josh,
Titli ne bhanware ke kaan mein
Hanskar, gaaya gaana
Khush hokar,
Wo bhi bhool gaya apna geet sunaana,
Fizaaen mhak uthi,
Khushboo se foolon ki,
Ab to bas, aas hai jaagi
Pankh failaakar naachte huae mor ko dekhne ki.

Saturday, May 9, 2015


The purpose of human life is not to please people but to shine like lighthouse in darkest hours !

Thursday, May 7, 2015

Rishte se jurta hai har koi,
Rishton mein bandhta har koi,
Par Kya sahi mayne mein,
Rishton ko samajh paaya koi,
Sukh ki aasha,Kuch
Paane ki ummeed,
Bhar deta hai,ik khokhlapan,
Jo koson door kar deta hai,apnapan,
Dil se jo nibha paae,door honge fasle
Aur rishton mein,aaega,
Ek josh aur nayapan.

Wednesday, May 6, 2015

Bhagwan ne Kaisa khel Khela hai,
Prakriti mein,lagaya Rangon ka mela hai,
Titliyon ke pankhon,ke Hain Shokh rang,
Dharti hai sunhari,to nabh ko Diya Neela rang,
Indradhanush,mein bikhare saat rang,
Phoolon,ko diye anginat rang,
Vanon,par taani hari,chaadar,
Pahaaron,nadiyon, maati,ko diye Kuch alag hi rang,
Wah,re ooperwale,koi nahin samajh paaya,tumhaare dhang.

Tuesday, May 5, 2015

Aasmaan mein hai,
Sapnon ka aashiyana
Parindon ke pankhon mein hai,
Haunslon ki udaanen hai anginat,
Prakriti mein hai mahak,
Phoolon ki,
Samudra mein bhi,to
Lahren karti shor hai,
Dekhon na,kaise Nanhi chidiyan
Chahchahakar,karti Bhor hai.

Saturday, May 2, 2015

Determine the thing that can and should be done,the way can be found to do it.




The bitter and sweet come from outside,the hard from within,from one's own efforts.
 
Clicky Web Analytics